Thursday, December 27, 2007

Patjhar...

Patjhar ka mausam hai, dil tanha udaas hai,
Kisi se kuch kya kahen, jab man me hi nahi koi aas hai.
Hansi ki parchae dikhi to man khush bahut hua,
Lekin gamon ke andheron me, parchae ne bhi ruswa kiya.

Jarurat thi jiski, jab sabse jyada,
Dhoondha jise tha, jindagi ke har mod par,
Jisne sath dene ki hamesha, kasme thi khae,
Majhdhar me hath chood usne bhi duniya ki reet nibhae.

Jo-jo pal humne sang the bitae,
Aaj unhi ko yaad kar aansu hain bahae.
Aaj jana hai ki dil ke hathon insane majboor kyu hota hai,
Hasti hai duniya, phir bhi ye tanha kyu rota hai.

Dhokhon ke beech, sachae dhoondhne hum nikle the,
Duniya ke dastur ke khilaf jang ladne hum nikle the.
Bhule the hum ki yahan kahin na sachae hai,
Mukhoton ke peeche sabne asliyat chupae hai.

No comments: