Thursday, December 27, 2007

Kya koi nahi hai...

KYA KOI NAHI HAI……



Is duniya se dur, aaj jaane ko jee karta hai,
Khoe hain saare apne, aaj mar jaane ko jee karta hai.
Kal tak rahte the hum bhi duniya ki bheed me khoe,
Aaj is bheed se kahin chup jaane ko jee karta hai.
.
Logon ke chehron pe, maine hansi dekhi,
Us hansi me chipi un logon ki mayusi dekhi.
Dukhi hian par phir bhi khushnaseeb hain wo log ,
Jinke sath apno ka saya hai.

Mere liye aaj khushi ka bhi koi mol nahi,
Kyunki duniya ke beech apna saya bhi paraya hai.
Kash chip jaun kahin jahan koi na dhoondh pae mujhe,
Shayad tanhae me hi sukun mil jae mujhe.

Kahne ko to duniya sath hai mere,
Par ye saari duniya anjaani hai.
Kahne ko to khushiyan bahut mili mujhe,
Par bin apno ke ye khushiyan bemaani hain.

Itne logon ki bheed me, kya koi nahi hai,
Jo mera hath tham, mujhe ujalon me lekar jaae?
Kya koi nahi hai, jise mein kah saku apna? Kya koi nahi hai, jo pura kar sake mera har sapna?

3 comments:

Tomar Amit said...

bass itna kahunga...
main hu na ... just kidin ..

kyon udhas hote ho mere dost
is duniya me sab hi akele hai
mat pooch is dil ke afsaane ko
kanhi tanhai hai , kanhi mele hai

gud work Surabhi ji

Unknown said...

nice poem....

Ravinder yadav said...

ohkz,,,,,not too good.kahan se copy ki hai???