Friday, January 4, 2008

Akelepan ke sae me

Akelepan ke sae me, duniya ki tanhae me,
jab aankhen roti hain aur dil tadapta hai,
kyu nai aata koi aansu poochne aur haath thamne ko,
kyu muh fer ke ye duniya chalti hai,
kyu akela kar ke log chodd jate hain,
kyu ye yaadein dil me bus jati hain,
kyu chodd jata hai sath apna saya bhi,
kyu kuch logon ki kismat itni ruswa ho jati hai.

Din ke ujale me, raat ke andhere me,
kyu yaad kisi ki dil ko dhadkati hai.
fark na pade jise humari maut se koi,
kyu us insan ko dene ke liye apni jindagi bhi bahut choti najar aati hai.
majburi to dekho is bechare dil ki yaaron,
rota hai ye par aankhon se aansu nai girte,
aur duniya samajh ke is bechare ko pathar ka,
majak uda ke, rah badal ke gujar jati hai.

ae khuda, bus itna bata de mujhe,
duniya ka ye kaisa dastur nirala hai,
kyu koi haansta hai, kyu koi rota hai,
kyu koi tanha andheron me khota hai?

3 comments:

Tomar Amit said...

ye akelapan ...........simply superb .....
kitne akele hai na hum sab bhi ...
nice way to presentation.. ...

SUperb....

Sunil said...

nice work.. way to go girl..

God Bless you!!!!

[V]aRuN said...

that was amazing... left me speechless. i really have no words.
really, really good one.