Monday, April 7, 2008

MERI KALPANA

Thandi hawa ke jhokon ke choone se,
Badan me jo sirhan paida hui,
Mujhe laga jaise dil se,
Tumne mujhe chooa hai.
Palat ke maine us jhoke se poocha,
“kya wo tumse milke aaya hai?”

Ugte hue suraj ne,
Jab apni kirne mujh pe dali,
Mujhe laga jaise tumne,
Mujhe neend se uthaya hai.
Palat ke maine un kirnon se poocha,
“kya wo tumhe bhi sapno ki duniya se jaga ke aae hain?”

Udte hue en panchiyon ke,
Chahchahne se jo khushi mili,
Mujhe laga jaise tumne,
Dil se mujhe pukara hai.
Palat ke maine un panchiyon se poocha,
“kya unhone tumhe dekha hai?”

Barish ki girti boondon ne,
Jab mere tan ko bhigoya,
Mujhe laga jaise tumne,
Mujhe apni baahon me samaya hai.
Palat ke maine un boondon se poocha,
“kya unhone tumhe bhi bhigoya hai?”

Dhalte suraj ki kirne,
Jab aakash me vilupt ho rahi thi,
Mujhe laga jaise tumne,
Halke se mere sir ko sahlaya hai.
Palat ke maine un kirnon se poocha,
“kya unhone tumhe bhi kuch aisa mahsus karwaya hai?”

Kash mein hoti hawa ka wo jhoka,
Jisne tumhe chooa hota!
Kash mein hoti ugte suraj ki wo kiran,
Jisne tumhe neend se jagaya hota!
Kash mein hoti aakash me udti wo panchi,
Jisne tumhe apni aankhon me basaya hota!
Kash mein hoti barish ki wo boond,
Jisne tumhe bhigoya hota!
Kash mein hoti dhalte suraj ki wo kiran,
Jisne tumhe sahlaya hota!

1 comment:

Tomar Amit said...

How romantic it is,
kya baat hai .... kabhi serious kabhi romantic... kon hai vo ???

just kiding...

but really so romantic it is,

yaar tusi to chha gaye ....